teri yaadon ne kabhi chain se jine na diya

teri yaadon ne kabhi chain se jine na diya
main ne chaha to mujhe zahr bhi pine na diya

yun hi ban ban ke bigadte rahe aain-e-wafa
be-sahaaron ko sahaara to kisi ne na diya

gham to gham josh-e-masarrat ne badhaya wo junun
chaak-e-daman kisi unwan bhi sine na diya

zindagi gham se sanwarti hai ye mana lekin
manzil-e-gham mein sahaara to kisi ne na diya

aaj kyun aa gae tum dard ka darman ban kar
jam-e-furqat bhi mujhe chain se pine na diya

tere milne ki khushi tere bichhadne ka malal
ghamza-e-sham-o-sahar ne hamein jine na diya

kis se shikwa karen virani-e-hasti ka 'hayat'
hum ne khud apni tamannaon ko jine na diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close