tha bahut shor yahan ek zamane mein mera

tha bahut shor yahan ek zamane mein mera
ab koi aks nahin aaina-khane mein mera

rah se aankh milane ka hunar jaan gaya
waqt to sarf hua khak udane mein mera

apni yakjai se tanhai se pura na hua
jitna nuqsan hua shahr basane mein mera

jaanta hun ki use meri zarurat hi nahin
warna kya jata bhala laut ke aane mein mera

dad kya kya na harifon se mujhe milti rahi
han magar ji na laga sher sunane mein mera

koi tazir ki main ne bhi mohabbat ki hai
kuchh to hissa hai ye tahrik chalane mein mera

apne kirdar se insaf kiya hai main ne
aur kirdar nahin koi fasane mein mera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close