tha us ka jaisa amal wo hi yar main bhi karun

tha us ka jaisa amal wo hi yar main bhi karun
rida-e-waqt ko kya dagh-dar mein bhi karun

muaf mujh ko na karna kisi bhi surat se
zamane tujh ko agar ashk-bar main bhi karun

mile jo mujh ko bhi fursat gham-e-zamana se
kisi ke samne zikr-e-bahaar main bhi karun

jo dale rahte hain chehron pe maslahat ki naqab
kya aise logon mein tera shumar main bhi karun

khuda kare ki tujhe wo maqam bhi ho nasib
jahan pahunch ke tera eatibar mein bhi karun

saliqa mujh ko jo aa jae sher kahne ka
ki ghazal-e-'mir' se naqsh-o-nigar main bhi karun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close