tha wo jangal ki nagar yaad nahin

tha wo jangal ki nagar yaad nahin
kya thi wo rahguzar yaad nahin

ye khayal aata hai main khush tha bahut
kis taraf tha mera ghar yaad nahin

kya thi wo shakl pe bholi thi bahut
pyara sa nam tha par yaad nahin

zakhmon ke phul hain dil mein ab bhi
kis ne bakhshe the magar yaad nahin

ek ghani chhanw mein din bita hai
shab kahan ki thi basar yaad nahin

ek lamha to dhadakta hai zarur
kai sadiyon ka safar yaad nahin

taq the dastan kahne mein 'obaid'
ab ba-juz dida-e-tar yaad nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close