the sab ke hath mein KHanjar sawal kya karta

the sab ke hath mein khanjar sawal kya karta
main be-gunahi ka apni malal kya karta

usi ke ek ishaare pe qatl-e-am hua
amir-e-shahr se main arz-e-haal kiya karta

main qatilon ki nigahon se bach ke bhag aaya
ki mere sath the mere ayal kya karta

dharam ke nam par insaniyat ki nasl-kushi
zamana aisi bhi qaem misal kya karta

jale makan jale jism jal-bujha sab kuchh
wo is se badh ke hamein paemal kya karta

bate hue hain hami apne apne khanon mein
hamara warna koi aisa haal kya karta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close