thi uske liye KHwab ki tabir koi hir

thi us ke liye khwab ki tabir koi hir
karti thi na ranjhe ko jo taskhir koi hir

hoti hai wo izzat bhi wo beti bhi haya bhi
kyun pahne faqat ishq ki zanjir koi hir

is darja tumhein pas-e-zamana hai bhala kyun
kya tum na karoge kabhi tamir koi hir

ilzam to aata hai faqat ishq ke sar hi
ranjhan ki to karti nahin tahqir koi hir

tu bhi to kabhi soch meri zat ke mehwar
kya aap hi karti rahe tadbir koi hir

ab kaun sunaega 'rabab' ishq-sahifa
karti jo nahin ab koi tafsir koi hir


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close