tir-e-abru jab kaman tak aa gae

tir-e-abru jab kaman tak aa gae
un ki zad mein jism-o-jaan tak aa gae

dagh sirat par lage the aur hum
basti-e-surat-garan tak aa gae

rafta rafta kam hua zabt-e-alam
dard-e-jaan meri zaban tak aa gae

hum ko bhi ek gul-badan ki chah thi
hum bhi koi gulsitan tak aa gae

manzil-e-maqsud bhi dikhne lagi
hum jo mir-e-karwan tak aa gae

yaad aaya jab hamein bachpan bahut
hum khilaunon ki dukan tak aa gae

qatilon ke pas thi daulat apar
un ke haq mein hukmaran tak aa gae

mausam-e-gul sirf yaadon mein hai ab
umr guzri hum khizan tak aa gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close