tirgi shama bani rahguzar mein aai saat ek aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyar-e-wafa thahra hai khak hi khak wahan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniya to yahi kya kam tha hashr ye hai ki tu duniya ki nazar mein aai bar-ha yaron ne sahil se kaha tha hum hain bar-ha naw magar apni bhanwar mein aai zindagi samjhun ise ya ki ise maut kahun wo jo mehman ki surat mere ghar mein aai yun bhi tarikh ki tarikh raqam hoti hai nikli tarikh mahal se to khandar mein aai khwab hi khwab ki tabir hua to jaana zindagi kyun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuan aisa utha lazzat-e-sham yahan khwab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ata' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki waba kaisi hunar mein aai