Tis bhi Tis na thi zaKHm-e-jigar hone tak

tis bhi tis na thi zakhm-e-jigar hone tak
phul bhi phul na tha khun mein tar hone tak

wahi haqdar hai suraj ki kiran ka jis ne
raat ki zulf sanwari hai sahar hone tak

tare diwane nahin hain ki jo thame hi rahen
daman-e-shab ko gareban-e-sahar hone tak

puchhiye khizr se kya wo bhi rahenge zinda
apni baaton ka hababon pe asar hone tak

ek aansu ki tarah tum mujhe rukhsat karna
rok lo palkon pe aaghaz-e-safar hone tak

zindagani ki haqiqat ko na samjhe 'saulat'
shairi karte rahe umr basar hone tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close