tishnagi baqi rahe diwangi baqi rahe

tishnagi baqi rahe diwangi baqi rahe
ranj-o-gham hai is liye ta-ki khushi baqi rahe

zakhm agar bhar jaega to bhul jaunga use
ye dua do zakhm-e-dil ki tazgi baqi rahe

qurbaten bhi duriyon ka ban gain aksar sabab
is liye behtar hai un ki be-rukhi baqi rahe

thahr jaana maut hai aur chalte rahna zindagi
zindagi baqi rahe aawargi baqi rahe

raushni hogi to kitne chehre honge be-naqab
kah do ye 'afroz' se ki tirgi baqi rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close