tu apni zat ke zindan se gar rihai de

tu apni zat ke zindan se gar rihai de
to mujh ko phir mere ham-zad kuchh dikhai de

bas ek ghar ho khudai mein kaenat meri
mere khuda mujhe itni badi khudai de

main us ko bhulna chahun to gunj ki surat
wo mujh ko ruh ki patal mein dikhai de

bujha chuka hai zamana charagh sab lekin
ye mera ishq ki har rasta dikhai de

hamare shahr ke saudagaron ki mahfil mein
wo ek shakhs ki sab se alag dikhai de

use ghurur ata hai koi to ab aae
jo us ke dast mein bhi kasa-e-gadai de

palat bhi sakti hun 'iman' fana ki rahon se
agar koi mujhe us nam ki dahai de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close