tu chand hai to chand-nagar mujhse chhin le

tu chand hai to chand-nagar mujh se chhin le
main kya karunga khak-basar mujh se chhin le

ab teri be-rukhi ka bhi aata hai yun khayal
jaise koi mata-e-digar mujh se chhin le

tu khud hi apni tarz-e-sitam par nigah rakh
main kya kahun ye dard-e-jigar mujh se chhin le

daste rahenge zehn ko kab tak mushahidat
yarab ye imtiyaz-e-nazar mujh se chhin le

pahchanti nahin hai use jab kisi ki aankh
be-kar hai nishan-e-hunar mujh se chhin le

ru-e-sahar tu khair mujhe kya dikhaega
tu aarzu-e-did-e-sahar mujh se chhin le


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close