tu ek nam hai magar sada-e-KHwab ki tarah

tu ek nam hai magar sada-e-khwab ki tarah
main ek harf hun magar nishan-e-ab ki tarah

mujhe samajh ki main hi asl raaz-e-kaenat hun
dhara hun tere samne khuli kitab ki tarah

main koi git hun magar sada ki bandishon mein hun
mere lahu mein rag hai sam-e-azab ki tarah

meri panah-gah thi unhi khalaon mein kahin
main sath-e-ab par raha habab-e-ab ki tarah

main 'asghar'-e-hazin kabhi kisi ke doston mein tha
wo din bhi mujh ko yaad hain khayal-e-khwab ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close