tu hi bata de jamal-e-mani tera karen intizar kab tak hayat ka e'tibar ho bhi nigah ka e'tibar kab tak jahan-e-zulm-o-jafa ke malik koi na ho ashk-bar kab tak jo dil hi majbur ho chuka ho to aankh par ikhtiyar kab tak milenge daman se aa ke aakhir mere gareban ke tar kab tak koi batae ki ho sakega mera junun pukhta-kar kab tak jo ki kisi ne bhi purshish-e-gham to chashm-e-majbur ho gai nam magar dil-e-zabt-azma ke bayan mein ikhtisar kab tak wo baad-e-sar-sar ki be-qarari wo bijliyan aur wo shoala-bari bas ab qafas hi mein mutmain hun nazar ko shauq-e-bahaar kab tak khizan ke be-kaif daur ka bhi mere gareban ye kuchh to haq hai junun ko aakhir banae rakkhun niyaz-mand-e-bahaar kab tak qadam qadam par sanam-kada hai nazar nazar mein haram ka manzar tajalliyan hi to hain ye aakhir ba-qaid-e-didar-e-yar kab tak