tu KHud bhi nahin aur tera sani nahin milta

tu khud bhi nahin aur tera sani nahin milta
paigham tera teri zabani nahin milta

main bich samundar mein hun aur pyas se betab
pine ko to ek bund bhi pani nahin milta

duniya ke karishmon mein muamma to yahi hai
duniya ke karishmat ka bani nahin milta

mera bhi to ek dost tha gham bantne wala
ab dasht-e-bala mein wahi jaani nahin milta

jo marta hai ji uthta hai wo rup badal kar
mujh ko to yahan koi bhi fani nahin milta

shahkar si taswir meri koi banata
bahzad mayassar nahin mani nahin milta

kabe ke kisi goshe mein mil jaega shayad
but-khane mein firdaus-makani nahin milta

uslub purane hain to alfaz hain be-rang
nadir sa 'zafar' tarz-e-lisani nahin milta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close