tu KHush-nasib hai har shaKHs hai asiron mein

tu khush-nasib hai har shakhs hai asiron mein
likha hua hai tere hath ki lakiron mein

jo ho sake to mujhe bhi kahin talash karo
main kho gaya hun khayalat ke jaziron mein

ye inqilab-e-zamana nahin to phir kya hai
amir-e-shahr jo kal tha wo hai faqiron mein

hamein ye chahiye hushiyar rahbaron se rahen
ki zahr bhi hain lage maslahat ke tiron mein

sadak pe ho gaya phir koi hadisa shayad
ek iztirab sa lagta hai rahgiron mein

khulus-e-fan hi to 'nadir' ka hai ki shamil hai
ab us ka nam bhi shahr-e-sukhan ke miron mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close