tu na aaega mujhe jab se yaqin aa gaya hai

tu na aaega mujhe jab se yaqin aa gaya hai
aasman jaise mera zer-e-zamin aa gaya hai

jis ke milne ko masafat thi kai barson ki
ek hi pal mein wo ham-zad yahin aa gaya hai

nikhra nikhra sa hai har sher ghazal ka meri
soch mein jab se tasawwur wo hasin aa gaya hai

har taraf tanz ke nashtar hain hamari jaanib
kis ke hathon mein mera din-e-mubin aa gaya hai

aa gaya kaam mere roz ka rona dhona
jo na aata tha kabhi mere qarin aa gaya hai

gardish-e-waqt tali ek hi lamhe ko yunhi
rukh pe zulfon ko bikhere wo hasin aa gaya hai

sehn-e-gulshan mein sarasimgi kaisi hai 'nabil'
ahl-e-gulshan mein koi dasht-nashin aa gaya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close