tu nahin hai to zindagi hai udas

tu nahin hai to zindagi hai udas
har taraf hai muhit zulmat-o-yas

wo musafir qarib-e-manzil hai
kho chuka hai jo apne hosh-o-hawas

utre utre malul chehron par
bikhra bikhra sa rang-e-alam-e-yas

chhed do phir koi tarana-e-gham
tut jae na zindagi ki aas

maut bhi to use nahin aati
ho chuka hai jo zindagi se udas

khamoshi ka sabab kuchh aur hi hai
warna dil mein na khauf hai na hiras

ab ye 'parwez' dil ka aalam hai
koi ummid hai na koi aas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close