tujh pe har haal mein marna chahun main to ye kaam hi karna chahun hasil-e-zist hai jurm-e-ulfat mar ke bhi main na mukarna chahun apne uslub mein chahun jina apne andaz mein marna chahun mutawajjah kare koi to use misl-e-gul main bhi nikharna chahun kitna mahdud hua jata hun main ki har had se guzarna chahun ek jugnu hun magar dekh andaz subh ki tarah bikharna chahun surat-e-naghma-e-jaan ai 'ruhi' main tere dil mein utarna chahun