tujhe sunaun ghazal ya sunaun apna gham

tujhe sunaun ghazal ya sunaun apna gham
zara irada bata tu bhi kuchh ai mere sanam

main shahzadi hun alfaz ke riyasat ki
khazana sher-o-sukhan ka kabhi na hoga kam

nibha rahe hain sabhi se khulus ke rishte
isi se baqi hai duniya ke bazuon mein dam

jo hum se raat mein tanhai ham-kalam hui
sanwar gaya mere jazbon ka aaj sara kham

mujhe pasand nahin be-hayai duniya ki
koi samet le aa kar tamiz ka yun bharam

bayan kar diya jazbaat main ne bhi 'shirin'
hunar ye apna nahin hai khuda ka khas karam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close