tujhe talash hai jis ki guzar gaya kab ka mere wajud mein wo shakhs mar gaya kab ka jo mujh mein rah ke mujhe aaina dikhata tha mere badan se wo chehra utar gaya kab ka tilism tut gaya shab ka main bhi ghar ko chalun ruka tha jis ke liye wo bhi ghar gaya kab ka tujhe jo faisla dena hai de bhi munsif-e-waqt wo mujh pe sare hi ilzam dhar gaya kab ka na jaane kaun sa pal tut kar bikhar jae hamare sabr ka kashkol bhar gaya kab ka