tujhko sochon to tere jism ki KHushbu aae

tujh ko sochon to tere jism ki khushbu aae
meri ghazlon mein alamat ki tarah tu aae

main tujhe chhed ke khamosh rahun sab bolen
baaton baaton mein koi aisa bhi pahlu aae

qarz hai mujh pe bahut raat ki tanhai ka
mere kamre mein koi chand na jugnu aae

lag ke soi hai koi raat mere sine se
subah ho jae ki jazbaat pe qabu aae

chahta hun ki meri pyas ka matam yun ho
phir na is dasht mein mujh sa koi aahu aae

us ka paikar kai qiston mein chhape nowel sa
kabhi chehra kabhi aankhen kabhi gesu aae

phir mujhe wazn kiya jae shahadat ke liye
phir adalat mein koi le ke taraazu aae

ab ke mausam mein ye diwar bhi gir jae 'shakil'
is tarah jism ki buniyaad mein aansu aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close