tujhko to quwwat-e-izhaar zamane se mili

tujh ko to quwwat-e-izhaar zamane se mili
mujh ko aazada-rawi khun jalane se mili

qarya-e-jaan ki tarah un pe udasi thi muhit
dar-o-diwar ko raunaq tere aane se mili

yun tasalli ko to ek yaad bhi kafi thi magar
dil ko taskin tere laut ke aane se mili

main khizan-dida shajar ki tarah gumnam sa tha
mujh ko waqat teri taswir banane se mili

shakh-e-ehsas pe jo phul khile hain un ko
zindagi husn ka idrak badhane se mili

jagti aankh se jo khwab tha dekha 'anwar'
us ki tabir mujhe dil ke jalane se mili


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close