tujhse bichhDe hain to ab kis se milati hai hamein

tujh se bichhde hain to ab kis se milati hai hamein
zindagi dekhiye kya rang dikhati hai hamein

markaz-e-dida-o-dil tera tasawwur tha kabhi
aaj is baat pe kitni hansi aati hai hamein

phir kahin khwab o haqiqat ka tasadum hoga
phir koi manzil-e-be-nam bulati hai hamein

dil mein wo dard na aankhon mein wo tughyani hai
jaane kis samt ye duniya liye jati hai hamein

gardish-e-waqt ka kitna bada ehsan hai ki aaj
ye zamin chand se behtar nazar aati hai hamein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close