tujhse wahshat mein bhi ghafil kab tera diwana tha

tujh se wahshat mein bhi ghafil kab tera diwana tha
dil mein teri yaad thi lab par tera afsana tha

raat jo zahid sharik-e-jalsa-e-rindana tha
thi surahi khanda-lab gardish mein har paimana tha

mai-kada be-jam-e-chashm-e-yar matam-khana tha
dida-e-pur-khun meri aankhon mein har paimana tha

ho gaya tha mujh ko jis din se asiri ka khayal
meri aankhon mein to us din se chaman virana tha

bazm-e-saqi mein tahi-dasti ne kho di aabru
bakht-e-bad apna sharik-e-gardish-e-paimana tha

main gila qismat ka karta tha to sote the nasib
shikwa-e-taqdir bahr-e-khwab bakht afsana tha

badh gae mitne se tere dushmanon ke hausle
ai mariz-e-dard-o-gham tujh ko abhi marna na tha

main ne nahaq hi 'rashid'-e-zar ko ruswa kiya
aap ke sar ki qasam wo aap ka diwana tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close