Tuk dekhiyo ye abru-e-KHamdar wahi hai

tuk dekhiyo ye abru-e-khamdar wahi hai
kushta hun main jis ka so ye tarwar wahi hai

mansur sa koi na hua khalq jahan mein
is mamlakat-e-faqr ka sardar wahi hai

puchha jo main us se ki 'huzur' aisa koi aur
gahak bhi hai ya ek kharidar wahi hai

itni jo aziyyat use deta hai tu har dam
kya qabil-e-jaur-o-sitam ai yar wahi hai

kahne laga hum logon ka mashrab to yahi hai
jo koi bahut chahe gunahgar wahi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close