tum aa gae ho to kyun intizar-e-sham karen

tum aa gae ho to kyun intizar-e-sham karen
kaho to kyun na abhi se kuchh ehtimam karen

khulus-o-mehr-o-wafa log kar chuke hain bahut
mere khayal mein ab aur koi kaam karen

ye khas-o-am ki be-kar guftugu kab tak
qubul kijiye jo faisla awam karen

har aadmi nahin shaista-e-rumuz-e-sukhan
wo kam-sukhan ho mukhatab to ham-kalam karen

juda hue hain bahut log ek tum bhi sahi
ab itni baat pe kya zindagi haram karen

khuda agar kabhi kuchh ikhtiyar de hum ko
tu pahle khak-nashinon ka intizam karen

rah-e-talab mein jo gumnam mar gae 'nasir'
mata-e-dard unhi sathiyon ke nam karen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close