tum achchhe the tum ko ruswa hum ne kiya phir kahna, kya tum ne kaha, kya hum ne kiya aansu sare palkon hi mein jazb hue dariya ko taswir-e-dariya hum ne kiya ai mere dil tanha dil chup chup rahna pahle bhi to shor kiya, kya hum ne kiya naqsh-garo! kab hum ne manzar badla hai chandi baal aur chehra sona hum ne kiya aansu ne dil ka har dagh mita dala pani se phir naqsh huwaida hum ne kiya khak jo sahra sahra udti phirti thi sar mein dali, ek tamasha hum ne kiya baad apne ab kaun bhala yan aaega apne nam pe khatm ye khutba hum ne kiya