tum waqt-e-sahar rauzan-e-diwar mein dekho lali si kahin subh ke aasar mein dekho har jins ki qimat hai mere sar se ziyaada ruk kar to kabhi kucha o bazar mein dekho thak-haar ke sikhe hain masafat ke qarine ek taza safar saya-e-diwar mein dekho ye atlas o kim-khwab mera asl nahin hain milna ho to mujh ko mere pindar mein dekho ab jurm hai ham-sae ka ham-sae se milna ye taza khabar aaj ke akhbar mein dekho main nind mein chalta hua kho jaun na 'qaisar' aahat mere qadmon ki shab-e-tar mein dekho