tumhaara zikr meri dastan ban baiTha

tumhaara zikr meri dastan ban baitha
main ek zarra tha aur aasman ban baitha

sawal karte hain rah-rah ke mujh se lail-o-nahaar
main apni zat se kyun bad-guman ban baitha

wo jis ne mujh ko nazar bhar ke bhi nahin dekha
wo shakhs mere fasane ki jaan ban baitha

khayal-e-nau se ulajhta hua mera ehsas
meri ghazal ke safar ka bayan ban baitha

main jism hun ki koi ruh ya faqat ehsas
mera wajud khud ek imtihan ban baitha

kabhi jo us ko tasawwur mein la ke dekh liya
har ek khayal mera gulsitan ban baitha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close