tumhaare eajaz-e-husn ki mere dil pe lakhon inayaten hain

tumhaare eajaz-e-husn ki mere dil pe lakhon inayaten hain
tumhaari hi den mere zauq-e-nazar ki sari latafaten hain

jawan hai suraj jabin pe jis ke tumhaare mathe ki raushni hai
sahar hasin hai ki us ke rukh par tumhaare rukh ki sabahaten hain

main jin bahaaron ki parwarish kar raha hun zindan-e-gham mein hamdam
kisi ke gesu-o-chashm-o-rukhsar-o-lab ki rangin hikayaten hain

na jaane chhalkae jam kitne na jaane kitne subu uchhaale
magar meri tishnagi ki ab bhi teri nazar se shikayaten hain

main apni aankhon mein sail-e-ashk-e-rawan nahin bijliyan liye hun
jo sar-buland aur ghayur hain ahl-e-gham ye un ki riwayaten hain

main raat ki god mein sitare nahin sharare bikherta hun
sahar ke dil mein jo apne ashkon se bo raha hun baghawaten hain

ye shairi-e-nau ki paighambari zamane ki dawari hai
labon pe mere sahifa-e-inqilab ki surkh aayaten hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close