tumhaare ghar se pas-e-marg kis ke ghar jata

tumhaare ghar se pas-e-marg kis ke ghar jata
batao aap se jata to main kidhar jata

nahin hai koi bhi sathi tumhaare mujrim ka
pukar uthte sab aaza jo main mukar jata

ajal ke bhes mein meri talash kar lete
wo aap dhund ke khud late mein jidhar jata

takallufat-e-mohabbat ne qaid kar rakkha
har ek samt thi diwar main kidhar jata

kabhi na samne aata zalil kahla kar
jo wo bulate to main apne nam par jata

bhala chhupae se chhupta lahu shahidon ka
ye khun bol hi uthta jo tu mukar jata

'munir' fazl jo karta musabbab-ul-asbab
main karbala-e-mualla mein jald gar jata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close