tumhaare jaane ka gham manaunga dekh lena

tumhaare jaane ka gham manaunga dekh lena
main hijr-e-sahra mein khak udaunga dekh lena

mera ye dawa hai muddaton tak main ban ke aansu
tumhaari aankhon mein jhilmilaunga dekh lena

wo sari ghazlen jo bas tumhaare liye likhi thin
wo ab main har shakhs ko sunaunga dekh lena

ye tum jo mujh se zara si baaton pe ruthte ho
main sari duniya se ruth jaunga dekh lena

tumhaari sohbat mein itna khush hun ki hans raha hun
tumhaari furqat mein khun bahaunga dekh lena

wo ek samundar udasiyon ka jo ruh mein hai
main us samundar mein dub jaunga dekh lena

tumhaari chaukhat pe jaan de kar amar rahunga
tumhaari nabzon mein thartharaunga dekh lena

wo khat tumhaare jo jaan se bhi aziz-tar hain
main ek ek kar ke sab jalaunga dekh lena

ek us ka gham hi mera muqaddar koi hai 'nasir'
abhi to main kitne gham uthaunga dekh lena


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close