tumhaare shahr mein kyon khamushi hai yahan har aankh mein kaisi nami hai kahin se dhund kar lao wo lamha hamari zist mein jis ki kami hai tera masum lahja kaun bhule tera to bolna hi sadgi hai kahin suraj nazar aata nahin hai hukumat shahr mein ab dhund ki hai kisi ko jaan dene par masarrat kisi ko jaan lene ki khushi hai judai ka tasawwur sath rakhna mohabbat mein judai lazmi hai