tumhaari duniya ke bahar andar bhatak raha hun main baad-e-tark-e-jahan yahi par bhatak raha hun main tujh se milne samay se pahle pahunch gaya tha so tere ghar ke qarib aa ke bhatak raha hun main ek khana-ba-dosh hun jis ka ghar hai duniya so apne kandhon pe le ke ye ghar bhatak raha hun main har qadam par sambhal sambhal kar bhatakne wala bhatakne walon se kafi behtar bhatak raha hun