tumhaari yaad ke jab zaKHm bharne lagte hain

tumhaari yaad ke jab zakhm bharne lagte hain
kisi bahane tumhein yaad karne lagte hain

hadis-e-yar ke unwan nikharne lagte hain
to har harim mein gesu sanwarne lagte hain

har ajnabi hamein mahram dikhai deta hai
jo ab bhi teri gali se guzarne lagte hain

saba se karte hain ghurbat-nasib zikr-e-watan
to chashm-e-subh mein aansu ubharne lagte hain

wo jab bhi karte hain is nutq o lab ki bakhiya-gari
faza mein aur bhi naghme bikharne lagte hain

dar-e-qafas pe andhere ki mohr lagti hai
to 'faiz' dil mein sitare utarne lagte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close