tumhein bhi chaha, zamane se bhi wafa ki thi

tumhein bhi chaha, zamane se bhi wafa ki thi
ye nigh-dari junun ne juda juda ki thi

wo sara qissa faqat rakh-rakhaw ka to na tha
us ek nam se nisbat bhi intiha ki thi

kisi chhabile mein wo chhab nazar nahin aai
wo ek chhab ki jo us aaina-qaba ki thi

khuda! sila de dua ka, mohabbaton ke khuda
khuda! kisi ne kisi ke liye dua ki thi

main apna chehra kahan dhundhta phirunga ab
ki main ne teri jabin apna aaina ki thi

hamein tabah to hona tha apni apni jagah!
tawil jang thi aur jang bhi ana ki thi

saba-nafas tha wo aur main tha gard-baad-mizaj
hamare bich thi jo qadr so hawa ki thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close