tumko ehsas ki daulat nahin milne wali

tum ko ehsas ki daulat nahin milne wali
mar ke bhi mujh ko mohabbat nahin milne wali

kha liye waqt ki talkhi ne surile lahje
ab wo pahli si halawat nahin milne wali

ye nae daur ke bachche hain bade lagte hain
in mein masum shararat nahin milne wali

zabt karne se guzara nahin hone wala
zulm sahne se sharafat nahin milne wali

gar musallat hi raha hum pe ghutan ka mausam
sans to hasb-e-zarurat nahin milne wali

chunki ab zar ne kharidi hai syahi 'akhtar'
ab kisi harf ko hurmat nahin milne wali


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close