tumne puchha hai to ahwal bata dete hain

tum ne puchha hai to ahwal bata dete hain
warna chehre bhi mah-o-sal bata dete hain

ruh ka haal bhi ai kash batae koi
dil ki haalat to khad-o-khal bata dete hain

ab marasim bhi bisaton pe saje mohre hain
kaun si kis ne chali chaal bata dete hain

kis mein ab kitni udanon ki sakat baqi hai
har parinde ke par-o-baal bata dete hain

dil ke ghunche bhi the masum hamare jaise
kis ke hathon hue pamal bata dete hain

hakim-e-waqt ko kis kis ne salami di hai
kis ki tali mein hai sur-tal bata dete hain

ghar ki diwar se girte hue roghan ki tarah
ab meri umr mere baal bata dete hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close