tum ne ye majra suna hai kya jo bhi hona hai ho chuka hai kya wo musafir jo raste mein tha manzilon se guzar gaya hai kya koi hota nahin hai aap ke sath aap ke sath masala hai kya ye jo tadbir kar raha hun main ye bhi taqdir mein likha hai kya sochne wali baat hai 'imrran' koi ye baat sochta hai kya dal badal jae ghar badal jae aadmi ka koi pata hai kya kya hai ye mustatil tanhai ye udasi ka daera hai kya ghaur se kaun dekhta hai yahan in charaghon mein jal raha hai kya kyun wo sar par sawar hai 'imrran' tere dil se utar gaya hai kya