TuTa tilism-e-waqt to kya dekhta hun main

tuta tilism-e-waqt to kya dekhta hun main
ab tak usi jagah pe akela khada hun main

ye kashmakash alag hai ki kis kashmakash mein hun
aata nahin samajh mein bahut sochta hun main

main ahl to nahin hun ki dekhe koi magar
duniya mujhe bhi dekh tera aaina hun main

akasr ghurur-e-fikr jab utra dimagh se
main dang rah gaya ki ye kya likh gaya hun main

mera kalam wahi nahin hai to phir mujhe
ye zoam kyun na ho ki khud apna khuda hun main

mujh se nahin use mere farda se hai umid
manzil se koi aur faqat rasta hun main

kya faeda mujhe jo palat kar jawab dun
apne liye kahan hun bura ya bhala hun main

ghafil ab aur kya hun kisi se ki umr bhar
aawargi ki god mein sota raha hun main

kya ye jagah hai jis ki tamanna mein aaj tak
din raat shahr shahr bhatakta phira hun main

mashal-ba-dast ghumte guzri hai ek umr
ab kis ke intizar mein thahra hua hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close