TuTe hue khilaune nishani mein de gaya

tute hue khilaune nishani mein de gaya
dhoka mujhe wo ain jawani mein de gaya

ye aur baat misra-e-ula mein kuchh nahin
lekin wo husn misra-e-sani mein de gaya

dariya ne tishna-lab se siyasat ajib ki
kuchh zahr bhi mila ke wo pani mein de gaya

laya hazar khushiyan mujhe saunpne magar
phir kyun ye ranj resha-dawani mein de gaya

karna pada na hum ko zaifi ka intizar
wo maut ka maza bhi jawani mein de gaya

'anwar' ka haal aa ke koi dekh le zara
kaghaz ke phul koi nishani mein de gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close