udas aankhen ghazal aankhen

udas aankhen ghazal aankhen
jawab aankhen sawal aankhen

hazar raaton ka bojh uthiye
wo bhigi palken wo lal aankhen

wo subh ka waqt nind kachchi
khumar se be-misal aankhen

bas ek jhalak ko tadap rahi hain
rahin-e-shauq-e-visal aankhen

jhuki jhuki si mundi mundi si
amin-e-naz-e-jamal aankhen

wo hijr ke mausamon se uljhi
thaki thaki si nidhaal aankhen

na jaane kyun khoi khoi si hain
bujhi bujhi pur-khayal aankhen

hain shokhiyon se chhalakne wali
mohabbaton se nihaal aankhen

agar nigahon se mil gain to
karengi jina muhaal aankhen

chhupe hue hain hazar jazbe
bala ki hain ye kamal aankhen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close