uDaun na kyun tar-tar-e-gareban

udaun na kyun tar-tar-e-gareban
ki parda-dari hai shiar-e-gareban

har ek tar hai dast-gir-e-tamasha
kiya zoaf ne sharmsar-e-gareban

katan-o-gul-o-sina-e-ahl-e-hasrat
bahut chiz hain yaadgar-e-gareban

agar dushmani bakhiya-gar ko nahin
to kyun is qadar dost-dar-e-gareban

yahin qaid-e-rasm khalaiq pasand
har ek sans hai khar-khar-e-gareban

wafa hai meri pesh-dast-e-salasil
tera parda hai pesh-kar-e-gareban

ye udne mein chaalak har para hai
ram-e-dasht-e-wahshat shikar-e-gareban

kabhi koh mein dasht mein hai kabhi
nahin kuchh gulu par madar-e-gareban

'qalaq' kyun ke parda na uthta hamara
ki hai bakhiya-gar raaz-dar-e-gareban


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close