uDe nahin hain uDae hue parinde hain

ude nahin hain udae hue parinde hain
hamein na chhed satae hue parinde hain

qafas mein qaid karo ya hamare par kato
tumhaare jal mein aae hue parinde hain

hawa chalegi to bachche udaenge un ko
ye kaghazon se banae hue parinde hain

jame hue hain ye shakhon pe is tarah jaise
shajar ke sath ugae hue parinde hain

falak pe jin ko sitare samajh rahe hain log
wo chandni mein nahae hue parinde hain

bulandiyan hain hamare mizaj mein shamil
bulandiyon se girae hue parinde hain

hamare pas hi aaenge laut kar 'baqi'
hamare jitne sadhae hue parinde hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close