udhar ki shai idhar kar di gai hai zamin zer-o-zabar kar di gai hai ye kali raat hai do-chaar pal ki ye kahne mein sahar kar di gai hai taaruf ko zara phaila diya hai kahani mukhtasar kar di gai hai na puchho kaise guzri umr sari zara mein umr bhar kar di gai hai ibaadat mein basar karni thi lekin kharabon mein basar kar di gai hai kai zarraat baghi ho chuke hain sitaron ko khabar kar di gai hai wo meri ham-qadam hone na pai jo meri ham-safar kar di gai hai hamare jugnuon se dushmani thi zara pahle sahar kar di gai hai