uf wo ek harf-e-tamanna jo hamare dil mein tha

uf wo ek harf-e-tamanna jo hamare dil mein tha
ek tufan tha ki barson hasrat-e-sahil mein tha

rafta rafta har tamasha aansuon mein dhal gaya
jaane kya aankhon ne dekha aur kya manzil mein tha

dastan-e-gham se lakhon dastanen ban gai
phir bhi wo ek raaz-e-sar-basta raha jo dil mein tha

chashm-e-saqi ke alawa jam-e-khali ke siwa
kaun apna aashna aghyar ki mahfil mein tha

mere armanon ka markaz mere dardon ka ilaj
timtimata sa diya ek gosha-e-manzil mein tha

guftugu ke khatm ho jaane par aaya ye khayal
jo zaban tak aa nahin paya wahi to dil mein tha

mit gain imroz o farda ki hazaron uljhanen
jo sukun tufan mein paya hai wo kab sahil mein tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close