ujala hi ujala raushni hi raushni hai

ujala hi ujala raushni hi raushni hai
andhere mein jo teri aankh mujh ko dekhti hai

abhi jaga hua hun main ki thak kar so chuka hun
diye ki lau se koi aankh mujh ko dekhti hai

tajassus har ufuq par dhundhta rahta hai us ko
kahan se aur kaisi aankh mujh ko dekhti hai

amal ke waqt ye ehsas rahta hai hamesha
mere andar se apni aankh mujh ko dekhti hai

main jab bhi raste mein apne pichhe dekhta hun
wahi ashkon mein bhigi aankh mujh ko dekhti hai

kahin se hath badhte hain mere chehre ki jaanib
kahin se surkh hoti aankh mujh ko dekhti hai

darkhto mujh ko apne sabz patton mein chhupa lo
falak se ek jalti aankh mujh ko dekhti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close