ulfat ka jis ko rog laga wo bacha nahin

ulfat ka jis ko rog laga wo bacha nahin
ye dard hai wo dard ki jis ki dawa nahin

insan wo kya ki jis se ho sarzad khata nahin
izhaar-e-dard-e-dil pe ye ghussa rawa nahin

mehr-o-wafa nahin hain ki sabr-o-raza nahin
hum afqaron ke kisa-e-khaki mein kya nahin

bimar ke na zakhm pe zalim namak chhidak
nargis se chhed achchhi ye baad-e-saba nahin

phir kah ke kya pukarun tujhe jaan-e-man agar
dilbar nahin nigar nahin dilruba nahin

nadan dil ko us se wafa ki umid hai
jo bewafa kisi ka abhi tak hua nahin

be-laus ishq-o-husn-parasti ke ma-siwa
wallah mera aur koi muddaa nahin

dekha dil-e-gharib ko nagin si das gai
lahra rahi hai zulf ye kali ghata nahin

bhule se han bhi munh se nikalta kabhi kabhi
mere har ek sawal pe ye ta-kuja nahin

dukh dard mein hamesha jo sab ka sharik hai
us ke siwa kisi ka mujhe aasra nahin

bedar sone mein bhi hai karti zamir ko
dil ki sada hai ye koi bang-e-dara nahin

aasan nahin mushahida-e-shahid-jamal
nazron se khulne wala ye band-e-qaba nahin

pahle-pahal jo dil ko lagi thi nazar ki chot
bhula gharib aaj bhi wo hadisa nahin

bekar us ke samne izhaar-e-zauq-o-shauq
nadan shai-e-latif se jo aashna nahin

'mahir' na dil kaho use ek lakht-e-sang hai
har-dam gham-e-habib mein jo mubtala nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close