uljhao ka maza bhi teri baat hi mein tha tera jawab tere sawalat hi mein tha saya kisi makin ka bhi jis par na pad saka wo ghar bhi shahr-e-dil ke mazafat hi mein tha ilzam kya hai ye bhi na jaana tamam umr mulzim tamam umr hawalat hi mein tha yaron ko inhiraf ka jis par raha ghurur wo rasta bhi dasht-e-riwayat hi mein tha ab to faqat badan ki murawwat hai darmiyan tha rabt-e-jaan-o-dil to shuruat hi mein tha mujh ko jo qatl kar ke manata raha hai jashn wo bad-nihad shakhs meri zat hi mein tha